sukut-e-nim-shabi mein kisi ne di aawaz 'naim' dil se nikalo na khar-ha-e-khalish sukun hai to isi iztirab mein kuchh hai ghuzar-e-shauq mein, soz-e-talash mein kuchh hai junun ke jumla marahil se tum guzar dekho jamal-e-fikr se aabaad hai dil-e-viran sharar-e-dil se munawwar jahan-e-farda hai ye kaun mujh se mukhatib hai itni qurbat se ye kis ne zakhm ko dast-e-shifa se chheda hai, isi khayal mein gum tha ki phir sada aai kamal-e-arz-e-sukhan jis ko tum samajh baithe wo ijz-e-fikr hai iqrar-e-be-zabani hai nikal ke aao zara kucha-e-khabar dekho har ek chaak-gireban har ek gard-alud na qatl-gah se hirasan na sangsaron se ki ek umr guzarti hai justuju karte nazar ko tez haqiqat ko ru-ba-ru karte bas ek tum ki tumhaare qadam nahin uthte quyud-e-asr ki zanjir katne wale faraaz-e-koh se aawaz de rahe hain tumhein payambaron ke maqamat de rahe hain tumhein rukh-e-sahar se hatao rida-e-shab lillah azab-e-nar se guzro ki tauf-e-nur karo jigar ke dagh se rakkho harim-e-jaan raushan shua-e-dard ko chumo gale lagao 'naim' sar-e-wajud jhukae suna kiya sab kuchh tamam jism tha goya nishana-e-awaz tamam ruh thi same tamam gham bedar sukut-e-shab mein sada gunjti rahi pahron