mujh ko tashwish hai kuchh roz se mere mahbub mere andaz-e-tafakkur ki ye pur-khar rawish teri hassas tabiat ko na kar de majruh aur tu samjhe ki nahin tujh mein wo pahli si kashish ab bhi jalwon mein hai takhliq-e-mohabbat ki sakat teri baaton mein abhi tak hai fusun ka andaz aariz o lab pe tabassum ka khiram-e-madhosh ab bhi deta hai takhayyul ko payam-e-parwaz phir bhi ehsas-e-masarrat ka na ho zehn ko hosh gin to sakta hun, shab-e-hijr mein taron ko magar zehn aawara khayalat se bhar jata hai ashk-e-majbur bahaun gham-e-jaanan mein magar silsila mere in ashkon ka bikhar jata hai mujh ko tashwish hai kuchh roz se mere mahbub mere andaz-e-takallum ki ye begana-rawi teri hassas tabiat ko na kar de majruh aur taskin na ho phir husn-e-khud-ara ko kabhi