aaj thi mere muqaddar mein ajab saat-e-did aaj jab meri nigahon ne pukara tujh ko meri tishna-nigahon ki sada koi bhi sun na saka sirf ek tere hi dil tak ye sada jagti duniya ke kohram se chup-chap guzar kar pahunchi sirf ek tu ne palat kar meri jaanib dekha mujhe tu ne tujhe main ne dekha aaj thi meri nigahon ke muqaddar mein ajab saat-e-did kya khabar phir to palat kar meri jaanib kabhi dekhe ki na dekhe lekin ek umr ab main yunhi apni taraf dekhte dekhunga tujhe