yahin ki thi mohabbat ke sabaq ki ibtida main ne yahin ki jurat-e-izhaar-e-harf-e-muddaa main ne yahin dekhe the ishwa-e-naz o andaz-e-haya main ne yahin pahle suni thi dil dhadakne ki sada main ne yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi dilon mein azhdaham-e-arzu lab band rahte the nazar se guftugu hoti thi dam ulfat ka bharte the na mathe par shikan hoti na jab tewar badalte the khuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi wo kya aata ki goya daur mein jam-e-sharab aata wo kya aata rangili ragni rangin raubab aata mujhe ranginiyon mein rangne wo rangin sahab aata labon ki mai pilane jhumta mast shabab aata yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hotin faza mein muntashir rangin badan ki larzishen hotin raubab-e-dil ke taron mein musalsal junbishen hotin khifa-e-raaz ki pur-lutf baham koshishen hotin yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi bahe jate the baithe ishq ke zarrin safine mein tamannaon ka tufan karwaten leta tha sine mein jo chhu leta main us ko wo naha jata pasine mein mai-e-do-atisha ke se maze aate the jine mein yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi hamari khalwat-e-masum rashk-e-tur hoti thi malak jhula jhulate the ghazal-khwan hur hoti thi yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi magar is aish-e-rafta ka hai ek dhundla nishan baqi