mere ghar mein jhonj banae gaurayya ka joda chonch mein le kar aae jae bhusa thoda thoda bhuse mein kuchh tinke bhi hain kuchh matiyale par nile pile ujle maile bhure kale par baghon baghon ho kar aae apna ghar na bhule pahle wo rassi par baithe pal bhar jhula jhule phir almari mein ud kar jae sidhe apne kone ghaalib ka diwan chuna hai rahne ko in do ne nili nili jild pe jaise phul rakha ho koi ya kaghaz ko raat samajh kar chand uga ho koi qismat wale thahre un ke lal gulabi panje urdu ka ek shaer aaya un ke panw ke niche chandi jaise takht pe so kar guzrin raaten un ki 'ghaalib'-sahib sunte honge shayad baaten un ki mazi ki buniyaad pe rakkha hai mustaqbil sab ka aane wale daur mein logo atka hai dil sab ka gaurayya ke in khwabon ko kaise toda jae koi nuskha aur manga len is ko chhoda jae