tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai tujh ko inkar ki jurat jo hui to kyunkar saya-e-shah mein is tarah jiya jata hai ahl-e-sarwat ki ye tajwiz hai sarkash ladki tujh ko darbar mein kodon se nachaya jae nachte nachte ho jae jo pael khamosh phir na ta-zist tujhe hosh mein laya jae log is manzar-e-jaankah ko jab dekhenge aur badh jaega kuchh satwat-e-shahi ka jalal tere anjam se har shakhs ko ibrat hogi sar uthane ka reaya ko na aaega khayal tab-e-shahana pe jo log giran hote hain han unhen zahr bhara jam diya jata hai tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai