hum ne apne sath ki aakhiri shab budhe ped ki jhini chhatri ke niche chand ki bhigi bhigi kirnon ke sath bitai thi main ne apne ashkon ka rukh mod diya tha tum ne palkon se do moti mere kandhe par tank diye the aur mathe par kabhi na mitne wali mohr lagai thi ek gile bose ki agli shab us ped ke niche main tanha tha chhut gaya tha tum se jo rumal wahan par le aaya tha barson baad isi shab ka jaani-pahchani khushbu wali bhiga-pan nazmon ki ek bhuli hui si copy mein silan ban kar ubhra hai