nim ka peD

hamare ghar ke bahar nim ka ek ped tha pahle
tumhein bhi yaad hoga hum wahin pe khela karte the

usi ki god mein rakhte the sab farmaishi parche
kisi jadu se pura kar raha hai ye samajhte the

suna hai in dinon kuchh aur kadwa ho gaya hai wo
hain patte zard pahle se zara sa jhuk gaya hai wo

guzarne wale logon pe wo kadwe phal giraata hai
bade ghusse mein jaise koi budha badbadata hai

kabhi chup-chap phir hai dekhta ummid se kuchh yun
ki jaise kah raha ho pas aa to main bhi kuchh puchhun

chalo kuchh roz ki chhutti nikalen ghum kar aaen
parinde kitne hain ab rabte mein dekh kar aaen

usi mitti mein kuchh yaaden hamari bhi gadi hongi
wahin us ki bhi kuchh farmaishen sukhi padi hongi

hamare puchh lene hi se shayad khil uthega wo
hamein nazdik pa ke pahle jaise phir khulega wo

yaqinan kuchh khushi hum ko bhi to mahsus hi hogi
kahin raste mein dikhta hai agar koi shajar mujh ko

to fauran yaad aata hai yahi bas aaj-kal mujh ko
hamare ghar ke bahar nim ka ek ped tha pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close