gum-shuda manzilen

hazar bar yahi baat dil mein uthti hai
jo ho raha hai ye pahle bhi ho chuka hai kabhi

ye band aankhon se kya aasman sa dikhta hai
bhala ye raushni si mujh mein kyon utarti hai

kahin pahunch ke kai bar ye bhi lagta hai
ki jaise pahle bhi aai hun is jagah pe kabhi

tum us jagah the khade han wahin zara aage
idhar main baithi thi chup-chap ek patthar par

abhi jo baat kahi hai kahi thi tab bhi yahi
kabhi kabhi to mere sath ye bhi hota hai

ki koi waqia hone se pahle dikhta hai
jahan main pahle kisi taur bhi gai hi nahin

wahan bhi pahunchi hun aksar main apne khwabon mein
aur itni bar ki har chiz us thikane ki

hai meri yaad mein shamil kuchh is tarah jaise
ki mera un se ta'alluq koi purana ho

shuur aur mere la-shuur ka ye safar
kahan kahan se na jaane abhi ye guzrega

na jaane kaun si manzil pe ja ke thahrega
agar chhalawa hai koi to kyon chhalawa hai

agar hai rabta to kis ke sath hai aakhir
hazar bar yahi baat dil mein uthti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close