nim pagal

wo ek nim pagal ladki
baithi rahti thi kinare par

bandhe ummid ki dor
ki laut aaegi us ki kashti

jo bah gai thi tez lahron mein kabhi
kinare par hi dikhti thi subh sham

har aane wali lahr ki aahat bhar se
chamak jati thin us ki aankhen

lekin har aati lahr khali hath hi aati
aur lautti to le jati pairon ki zamin bhi

dekhti rahti wo
chadhte aur utarte suraj ke narangi rang ko

subh ki sinduri lali
sham ko dahkati us ke dil mein angare

wo ek nim pagal ladki
baithi rahti thi kinare par

kuchh dinon se dikhti nahin ab
shayad intizar nahin kar saki kuchh aur roz

rok nahin saki khud ko
aur chali gai lahron ki or

apni kashti ki talash mein
dur bahut bahut dur talak

wo ek nim pagal ladki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close