zindagi ke sare safhe kahin bhi kabhi bhi khol dena munasib nahin kuchh be-imani ho jati hai in mein likhe harf be-parda hote hi qadr to hamesha parda-dari ki hi hua karti hai jaise hijab mein lipti koi dil-ruba ya phir kisi kitab ka bina padha hua wo aakhiri panna