nind aati hai to lagta hai ke tum aae ho aankh kholun to kahin dur talak koi nahin hun muqayyad main kisi gosha-e-tanhai mein har taraf phaili hui dhund nazar aati hai samne tum se bichhadne ka wahi manzar hai aankh mein chubhta hai ye mil ka patthar sun lo log kahte hain manazir to badal jate hain kuchh qadam chhod ke har yaad ka daman dekho thik kahte bhi hon ye log to kya chaara hai aap ki yaad wo daman nahin chhoden jis ko ye to ek dam hai main jis mein ulajh kar dekho lakh barbaad hun nashad hun nakaam nahin waqt paltega tum aaoge to ye dekhoge is bharose ke sahaare main abhi zinda hun