nind aani ho to aa jati hai tez pankha ho ya bahut dhima sard mausam ho ya bahut garmi hath sine pe ho ki sir ke tale ho andhera ya raushni tikhi raat ho din ho shor ya chuppi sakht bistar ho silwaton wala aankh jalti ho bure sapnon se sar pe mandlati ho kali chhaya nind aani ho to aa jati hai aur jab nind nahin aani ho sare aaram reshmi bistar loriyan gati hui mund hawa sab dhare ke dhare rah jate hain kaam karti hai dawa aur na dua nind ki wadiyon se dur kahin palken karwat badalti rahti hain band aankhon ko chir kar jaise nazren kuchh dhundhti si rahti hain jab kabhi nind nahin aani ho! nind ek naznin se kam to nahin aai, aai kabhi nahin aai!