jab khuli aankhon se apne aas-pas dekhta hun apni duniya kis qadar mahdud-o-tang aur phir ek jagte lamhe mein main band kar leta hun apni aankh aur dekhta hun samne phaila hua ek jahan-e-be-kanar dekhta hun apni hi aankhon se wo sare manazir shahr aur aabaadiyan saikdon sadiyon se jo mahfuz hain kis ko dekhun kis ko chhodun aisi ek duniya na jis ka or-chhor na to samten aur haden aur ufuq napaid, ghaeb aasman sochta hun aah mera ye safar kitna tawil fasle itne ki un ki ab koi manzil nahin tai karunga aur thak jaunga main aur meri nind ruthi hi rahegi taki main aaram lun khaul deta hun ye aankhen aur ab khush hun chalo fursat mili is muft ki begar se kya bataun mere andar se us dam do nai aankhen nikal kar meri aankhon ki jagah leti hain phir pahunch jata hun us duniya mein jis se bhag kar aaya tha main phir wahi sare manazir shahr aur aabaadiyan jaise ek aaseb ban kar mere sar pe chha gain aah mujh ko kha gain kash koi wo khuli aankhen mujhe wapas dila de main hamesha ke liye ban jaunga us shakhs ka aaj tak wo shakhs meri aankh se ojhal hai, main maut tak kya so sakunga maut hi wo apni pyari nind hai jo hamesha ke liye apne musafir ko sulati hai use tohfa ata karti hai jis ko hum kabhi aaram kahte kabhi amn-o-sukun main usi ki kali zulfon ka asir main usi apni dulhan ka muntazir hun