banaya hai chidiyon ne jo ghonsla so ek ek tinka ikattha kiya gaya ek hi bar suraj na dub magar rafta rafta hua hai ghurub qadam hi qadam tai hua hai safar gain lahze lahze mein umren guzar samundar ki lahron ka tanta sada kinare se hai aa ke takra raha samundar se dariya se uthti hai mauj sada karti rahti hai dhawa ye fauj kararun ko aakhir gira hi diya chatanon ko bilkul safa-chat kiya barasta jo meinh musla-dhaar hai so ye nannhi bundon ki bauchhaar hai darakhton ke jhund aur jangal ghane yunhi patte pate se mil kar bane hue reshe reshe se ban aur jhad bana zarre zarre se mil kar pahad laga dane dane se ghalle ka dher pada lamhe lamhe se barson ka pher jo ek ek pal kar ke din kat gaya to ghadiyon hi ghadiyon baras ghat gaya likha likhne wale ne ek ek harf huin gaddiyan kitni kaghaz ki sarf hui likhte likhte murattab kitab isi par har ek shai ka samjho hisab har ek ilm-o-fan aur kartab hunar na tha pahle hi din se is dhang par yunhi badhte badhte taraqqi hui jo neza hai ab tha wo pahle sui julahe ne joda tha ek ek tar hue than jis ke gazon se shumar yunhi phuiyon phuiyon bhare jhil tal yunhi kaudi kaudi hua jama mal agar thoda thoda karo subh o sham bade se bada kaam bhi ho tamam