kabhi khirad ki khuli dhup mein chala aaya kabhi main ishq ke sae mein ja ke baith gaya kabhi kitab khan kabhi sitare gine haram mein dair mein girje mein har taraf dhunda tujhe sadaen lagain tujhe talash kiya magar ai ruh kahin tu nazar nahin aai main thak ke haar ke lauta to kis tarah lauta ki apni jism ki sarhad pe aa gaya hun main yahan se aakhiri aawaz de raha hun tujhe yahan ke baad faqat jism ki hukumat hai yahan ke baad faqat jism ki hukumat hai