bansuri ki dhun se chawal ki baali tak din phaila hai aur daranti wale hath mein us ka daman jaise mallahon ke hath mein jal ho ya phir ghod-sawar ke hath mein us ki rasen din phaila hai dahi bilone ki aawaz se jamun ke pedon tak chudiyan pahanne wale hath mein us ka daman khinchte khinchte odhni ban jaega din phaila hai aasman se bachche ki nannhi mutthi tak rafta rafta dudh mein dhal jaega din phaila hai rail ki aahani patri par aur bhag raha hai chhote shahron ki mandi tak bhagte bhagte surkh anar mein dhal jaega din phaila hai gende ke phulon mein maile bachchon ki khali jebon mein din phaila hai meri teri aankhon mein jo rafta rafta mustaqbil ki dhun pe gaya ujle paniyon jaisa koi git banega