mein kapilwastu ka shahzada nahin dardmandi ki hawas nirwan ki khwahish kabhi dil mein samai bhi nahin main ki bargad ke taqaddus se bhi tha na-ashna aur aaj bhi chhanw ki had tak darakhton se hai meri dosti main ek aisa tifl-e-maktab tha zara si bhul par jo sarzanish ke khauf se jangal ki jaanib chal pade rah mein kuchh ham-safar aise milen jo use widyarthi samjhen kuchh aise log bhi jo use sahmi hui si chor nazron ke sabab mushtarak dushman ka ek jasus samjhen aur ishaaron mein kahin ye kapilwastu ka shahzada nahin kya khabar shayad manu ji ka koi chela ho ya phir chanakya ji ka koi mukhbir na ho yun ummid-o-bim ka sarhad ke gahre darmiyani fasle ko main ne mushkil se andheri raat mein tai kar liya aur shaarda ke khandaron tak aa gaya jab sahar hone ko thi main shaarda ke khandaron se chal diya shaarda ka pul mare qadmon mein tha tab sipahi ka pukara kaun hai yun visal-e-subh ka arman firaq-e-sohbat-e-shab ban gaya khud farebi aur khush-fahmi ke sare raste masdud ho kar rah gae dhyan ne jab dil ko samjhaya sipahi kaun tha ab main qatan gyan aur mukti ka dil-dada nahin main kapilwastu ka shahzada nahin