kis ne khinchi hain lakiren mere darwaze par kaun hai jo ki dabe panw chala aaya hai mere be-rang hayule ka taaqub karta main to mohtat tha aisa kahin aate jate apne sae ko bhi patal mein chhod aata tha apna saman uthata to shab-e-nisf-pahar dast-e-hushyar mitata mere qadmon ka suragh jism har sans ki aawaz muqaffal rakhta khak hi khak ki khushbu ka tadaruk karti jaanta tha nahin mahfuz thikana mera log maujud hain jo mujh pe nazar rakhte hain dur nazdik nihan-khanon ke andar baithe ek harakat ho to sau aks bana lete hain un ki aankhon mein khatakta hai zar-o-mal mera tarz-e-tamir meri mimbar-o-mehrab mere un ke ahdaf hain diwar-o-dar-o-bab mere aur ek gauhar-e-nayab ki tah-khane mein hawas-e-dil ko hai asbab pareshani ka meri diwangi o wahshat o hairani par mujh pe mamur kuhan-sal sagan-e-khufta kal kisi saat-e-kamzor ki tariki mein is kamin-gah mein surakh se dar aae the dur dalan ke kone mein khade hanste hain