chhe hazar barson se ahl-e-din-o-danish ne bar bar koshish ki bar bar koshish ki taki samne wali us khamosh khai par koi pul bana sakte koi pul bana sakte us khamosh khai par jis ki ek jaanib ko roz-e-afrinash se hairat aur dahshat mein dam-ba-khud hain istada kuchh shuur ke tile har ana ke tile se la-ana ki ek dhalwan ek athah si dhalwan be-panah si dhalwan ek dam khadi dhalwan us khala mein jhukti hai jis ki tah bhi hai khali ek khula dahana sa jis ki tah bhi hai khali be-muzahamat wusat be-wajud maujudi ek rabuda khuddari ek ghunuda bedari narm o gung pahnai narm narm sannata gung gung pahnai narm o gung pahnai man hai un chatanon ki sar ba aasman jin ki chotiyan chamakti hain chashmak-e-sharar ban kar chashmak-e-sharar ban kar har farogh-e-mustajal is azim wusat ke khwab-nak sine mein nur ka jhamaka sa ho ke rakh banta hai rakh banti hai patthar wusaton se jo thitka bas wahi to patthar hai sakhti-o-salabat kya khud mein band ho jaana ye girah na khul jae bas isi liye sakhti narmiyon se darti hai narmiyon se darti hai sakhtiyon ki ye duniya wusaton se darti hai tangiyon ki ye duniya naddiyon se darti hai pattharon ki ye duniya dil se aql darti hai narmiyon ki zad se hai sakhtiyon mein mahjuri khaiyon ka khamyaza chotiyon ki hai duri sarwaron mein duri hai khud-saron mein duri hai pattharon mein duri hai is athah khai se pattharon ko wahshat hai be-khudi ki wusat se har khudi pe dahshat hai jab se ye chatanen hain shor hai chatanon mein khaiyon pe pul bandho khaiyon pe pul bandho khaiyon pe pul bandho sakhtiyon se sakhti tak narmiyon pe pul bandho tangiyon se tangi tak wusaton pe pul bandhun bas ye sai jari hai