wo din kitne munawwar the kisi ko bazuon mein be-tarah bharne ki khwahish se ayagh-e-jism-o-jaan ek be-khudi mein jab laba-lab tha chanaron ke badan mein srukh-ru masti dahakti thi kuchh aisa haal besh-o-kam hamare dil ka bhi tab tha wo din kitne munawwar the ki bachpan ki hasin shamon ke sae baat karte the tu jaise dur ufuq qulqul se hansta tha, jahan rab tha ki har lazzat zaban ko yaad ke name sunati thi ki har khushbu se paiwasta koi pichhla jahan jab tha mohabbat dil ke khali dasht mein jab sair karti thi so is taraj ke aage hamein kuchh hosh hi kab tha khushi ka narm-par tair badan mein sarsaraata tha to aansu bhi umadte the, khushi ka ye bhi ek dhab tha wo din kitne munawwar the tahi-kesa zamane sarkhushi se jab chhalakte the bhare din jis se khali hain tahi kison mein wo sab tha