main ki khud apni hi aawaz ke shoalon ka asir main ki khud apni hi zanjir ka zindani hun kaun samjhega jahan mein mere zakhmon ka hisab kis ko khush aaega is dahr mein ruhon ka azab kaun aa kar mere mitne ka tamasha dekhe kis ko fursat ki ujadti hui duniya dekhe kaun bhadki hui is aag ko apnaega jo bhi aaega mere sath hi jal jaega wo ghadi kaun thi jab mujh ko mila tha ban-bas ek jhonka bhi hawa ka na watan se aaya ne koi nikhat-e-gul aur na koi mauj-e-nasim phir koi dhundne mujh ko na chaman se aaya main wo ek lal hun jo bik gaya bazaron mein phir koi puchhne mujh ko na yaman se aaya yaad karte hue ek yusuf-e-gum-gashta ko kuchh dinon roi to hogi mere ghar ki diwar kuchh dinon ganw ki galiyon mein udasi hogi kuchh dinon khul na sake honge tere haar singhaar kuchh dinon ke liye sunsan sa lagta hoga aam ke bagh mein bechain phiri hogi bahaar main ne ek ped pe jo nam likha tha apna kuchh dinon zakhm ke manind wo taza hoga mere sab dost use dekh ke kahte honge jaane kis des mein bechaara bhatakta hoga umr bhar kaun kise yaad kiya karta hai ek ek kar ke mujhe sab ne bhulaya hoga hae un ko bhi khabar kya ki wo ek zakhm-nasib zindagi ke liye nikla tha jo rahi ban kar aaj tak pa na saka chashma-e-ab-e-haiwan us ko suraj bhi mile hain to siyahi ban kar ghar se laya tha jo kuchh tab-e-rawan zehn-e-rasa sath us ke rahe asbab-e-tabahi ban kar mera ye jurm ki main sahab-e-idrak-o-shuur mera ye aib ki ek shair o fankar hun main mujh ko ye zid hai ki main sar na jhukaunga kabhi mujh ko israr ki jine ka saza-war hun main mujh ko ye fakhr ki main haqq-o-sadaqat ka amin mujh ko ye zoam khud-agah hun khuddar hun main ek ek mod pe aalam o masaib ke pahad ek ek gam pe aafat se takraya hun ek ek zahr ko hans hans ke piya hai main ne ek ek zakhm ko chun chun ke utha laya hun ek ek lamhe ki zanjir se main uljha hun ek ek sans pe khud aap se sharmaya hun yun to kahne ki nahin baat magar kahta hun pyar ka nam kitabon mein likha dekha hai jab kabhi hath badhaya hai kisi ki jaanib fasla aur bhi kuchh badhta hua dekha hai bund bhar de na saka koi mohabbat ki sharab yun to mai-khane ka mai-khana luta dekha hai