khunuk hawa ka barahna hathon se zard mathe se pahla pahla mukalima hai abhi ye din-raat sard-mehri ke itne khugar nahin hue hain to phir ye be-wazn subh kyun bojh ban rahi hai sawad-e-aghaz-e-khushk-sali mein kyun waraq bhigne laga hai dhuan dhuan sham ke alaw mein koi jangal jale ki ruthi hui tamanna khizan ka pani koi ishaara nahin samajhta ye nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai ajib tasir aakhir-e-shab ke aasman ki hawa chale ya zamin ghume fasil kohre ki koi suraj nahin giraata zamin se malba gae dinon ka koi sitara nahin uthata tawil raaten ki mukhtasar din kasir wade qalil umren abas hisab-o-shumar us ka jo gosht is sal nakhunon se juda hua hai sikudte lamhe ki ek sarhad se ta-ba-hadd-e-digar wahi kar-e-satr-poshi wo mu-e-tan ho ki tar-e-pamba ki baal-o-par aks-e-aina ke har ek katran pe zardiyan bantne darakhton ke faisle hain udas patta khizan ka pani nae maani nahin samajhta so nahr ab tak purane pahre mein chal rahi hai