sham dhale to milon phaili khushbu khushbu ghas mein raste aap bhatakne lagte hain zulf khule to mang ka sandal shauq-e-talab mein aap sulagne lagta hai sham dhale to zulf khule to lafzon in raston par jugnu ban kar udna rah dikhana din nikle to taza dhup ki chamkili poshak pahan kar mere sath gali kuchon mein lafzo manzil manzil chalna hum duniya ko harf-o-sada ki raushan shaklen phul se taza ahd aur paiman dikhlaenge diwaron se gulzaron tak tanhai ki fasl ugi hai din nikle to faiz-e-rifaqat hum sab mein taqsim karenge