numaish

raat mein bhi gaya
ek numaish thi umda tasawir ki

shahr ke chida chida muazziz khawatin-o-hazraat
chehron pe mauzun milawat

nafasat ki
sanjidgi ki

funun-e-latifa ke idrak ki
apni maujudgi se yaqin dusron ko dilate hue

kitne ba-zauq hain
kash khud bhi yaqin kar saken

raat achchhi numaish thi
main bhi numaish mein taswir tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close