tu jo humak kar meri god mein chadh jati hai raaton ko be-mauqa nind uda deti hai teri khatir shora ke bazaron tak main ho aata hun phir be-samjhi wah wah ke aawaze se ghayal ho kar aksar muafi mang chuka hun ai dad-o-tahsin ki khwahish hiron ka to kaam hai aankhen khira karna par un hiron ki takhliq mein aur pahchan ke darjon ki tarwij mein lamba waqfa hai kaun ye jaane ye kitna lamba waqfa hai ai dad-o-tahsin ki khwahish fard jamaat se gar dur nikal jata hai to pagal hi kahlata hai