main wo shajar tha ki mere sae mein baithne aur shakhon pe jhulne ki hazaron jismon ko aarzu thi zamin ki aankhen daraazi-e-umar ki duaon mein ro rahi thin aur suraj ke hath thakte nahin the mujh ko sanwarne mein ki main ek aawaz ka safar tha ajab shajar tha ki us musafir ka muntazir tha jo mere sae mein aa ke baithe to phir na utthe jo meri shakhon pe aae jhule to sare mausam yahin guzare magar wo pagal hawa ka jhonka magar wo pagal hawa ka jhonka ajab musafir tha rahguzar ka jo chhod aaya tha kitni shakhen magar laga yun ki jaise ab wo shikasta-tar hai wo mere khwabon ka ham-safar hai so main ne sae bichha diye the tamam jhule hila diye the magar wo pagal hawa ka jhonka magar wo pagal hawa ka jhonka ajab musafir tha rahguzar tha ki lamhe bhar mein guzar chuka tha main be-numu aur be-samar tha magar main aawaz ka safar tha so meri aawaz ka ajar tha ajab shajar tha ajab shajar hun ki aane wale sah kah raha hun ai mere dil mein utarne wale ai mujh ko shadab karne wale tujhe meri raushni mubarak tujhe meri zindagi mubarak