main jism o jaan ke tamam rishton se chahta hun nahin samajhta ki aisa kyun hai na khal-o-khad ka jamal us mein na zindagi ka kamal koi jo koi us mein hunar bhi hoga to mujh ko is ki khabar nahin hai na jaane phir kyun! main waqt ke daeron se bahar kisi tasawwur mein ud raha hun khayal mein khwab o khalwat-e-zat o jalwat-e-bazm mein shab o roz mera lahu apni gardishon mein usi ki tasbih padh raha hai jo meri chahat se be-khabar hai kabhi kabhi wo nazar chura kar qarib se mere yun bhi guzra ki jaise wo ba-khabar hai meri mohabbaton se dil o nazar ki hikayaten sun rakhi hain us ne meri hi surat wo waqt ke daeron se bahar kisi tasawwur mein ud raha hai khayal mein khwab o khalwat-e-zat o jalwat-e-bazm mein shab o roz wo jism o jaan ke tamam rishton se chahta hai magar nahin jaanta ye wo bhi ki aisa kyun hai main sochta hun wo sochta hai kabhi mile hum to aainon ke tamam baatin ayan karenge haqiqaton ka safar karenge