numu mein jis ki karishmati kaifiyat thi bahut zamin thi sakht numu ko magar na rok saki guzarte waqt ne aab-o-hawa ke tewar ne dikhae rang kai kuchh asar hua na magar to ho gae mayus phir ek din tanawar shajar ka rup liye numu ka apni karishma dikha diya us ne