main qaid-e-hasti mein dukh ka bar-e-garan liye tadap raha hun sisak raha hun ye gumrahi hai ki raushni ye aagahi hai ki tirgi main raste se bahak raha hun bhatak raha hun ye kin wadiyon mein ja raha hun nahin nahin ufuq pe chamak raha hun damak raha hun isi ko samjho bahaar-e-hasti shabab-e-hasti yahin se tute sharar-hasti main dil ke athah sagar mein habab aur mauj ki mastiyon mein bhanwar ko dhund raha hun bhanwar hi zindagi hai bhanwar mein azal ke aur abad ke charagh jalte hain