raat tarik thi ek kale samundar ki tarah ajnabi des tha tanhai thi jagmagate hue bazaron ki be-kaif faza aur bojhal sa kiye deti thi jism-o-jaan ko shahar ki had se pare dur tak phaile hue ret ki saffaki thi aasman dhul mein lipta ho ta-hadd-e-nazar koi saya na sarab car mein bajta hua git bhi alfaz ki takrar tha be-ruh thi lai phir achanak mujhe manus se ek lams ne bedar kiya thapkiyan de ke mere shane par pyar se sargoshi ki main tere sath yahan tak aaya main abhi chum ke aaya hun teri khak-e-watan teri galiyan tere manus dar-o-baam tera ghar aangan tere man-bap ke aazurda se mushfiq chehre muntazir aankhon ki khamoshi ko chum aaya hun tere aangan ki chameli ki dua laya hun yaad hai yaad hai koi kahta hi raha wo september ki khunuk raat thi main tha tum thin radio par koi bajti hui spanish dhun dur pipal ke ghane jangal mein hum ko madhosh kiye deti thi yaad hai tujh ko ladakpan mein kabhi aam ke baur ki bele ki chameli ki mahak sath liye kachche aangan mein jhuke nim ki shakhon mein hawa bahti thi aur hum donon bahut der talak jagte the raaz ki baaten kiya karte the koi kahta hi raha yaad karo yaad karo dip se dip jale yaadon ke aur kuchh aisa hua yak-ba-yak chalne lagi baad-e-saba najd ke sahraon mein aur ek nur ka dariya sa nazar aane laga sahra mein car ke band dariche se utar aaya meri god mein chand