dayar-e-sharq ki aabaadiyon ke unche tilon par kabhi aamon ke baghon mein kabhi kheton ki meindon par kabhi jhilon ke pani mein kabhi basti ki galiyon mein kabhi kuchh nim uryan kam-sinon ki rang-raliyon mein sahar-dam jhutpute ke waqt raaton ke andhere mein kabhi melon mein natak-toliyon mein un ke dere mein taaqub mein kabhi gum titliyon ke suni rahon mein kabhi nanhe parindon ki nahufta khwab-gahon mein barhana panw jalti ret yakh-basta hawaon mein gurezan bastiyon se madrason se khanqahon mein kabhi ham-sin hasinon mein bahut khush-kaam o dil-rafta kabhi pechan bagula san kabhi jyun chashm-e-khun-basta hawa mein tairta khwabon mein baadal ki tarah udta parindon ki tarah shakhon mein chhup kar jhulta mudta mujhe ek ladka aawara-manush aazad sailani mujhe ek ladka jaise tund chashmon ka rawan pani nazar aata hai yun lagta hai jaise ye bala-e-jaan mera ham-zad hai har gam par har mod par jaulan ise ham-rah pata hun ye sae ki tarah mera taaqub kar raha hai jaise main mafrur mulzim hun ye mujh se puchhta hai akhtar-ul-iman tum hi ho khuda-e-izz-o-jal ki nematon ka mo'tarif hun main mujhe iqrar hai us ne zamin ko aise phailaya ki jaise bistar-e-kam-khwab ho diba-o-makhmal ho mujhe iqrar hai ye khema-e-aflak ka saya usi ki bakhshishen hain us ne suraj chand taron ko fazaon mein sanwara ek had-e-fasil muqarrar ki chatanen chir kar dariya nikale khak-e-asfal se meri takhliq ki mujh ko jahan ki pasbani di samundar motiyon mungon se kanen lal-o-gauhar se hawaen mast-kun khushbuon se mamur kar di hain wo hakim qadir-e-mutlaq hai yakta aur dana hai andhere ko ujale se juda karta hai khud ko main agar pahchanta hun us ki rahmat aur sakhawat hai usi ne khusrawi di hai laimon ko mujhe nakbat usi ne yawa-goyon ko mera khazin banaya hai tawangar hirzah-karon ko kiya daryuza-gar mujh ko magar jab jab kisi ke samne daman pasara hai ye ladka puchhta hai akhtar-ul-iman tum hi ho maishat dusron ke hath mein hai mere qabze mein juz ek zehn-e-rasa kuchh bhi nahin phir bhi magar mujh ko kharosh-e-umr ke itmam tak ek bar uthana hai anasir muntashir ho jaane nabzen dub jaane tak nawa-e-subh ho ya nala-e-shab kuchh bhi gana hai zafar-mandon ke aage rizq ki tahsil ki khatir kabhi apna hi naghma un ka kah kar muskurana hai wo khama-sozi shab-bedariyon ka jo natija ho use ek khote sikke ki tarah sab ko dikhana hai kabhi jab sochta hun apne bare mein to kahta hun ki tu ek aabla hai jis ko aakhir phut jaana hai gharaz gardan hun baad-e-subh-gahi ki tarah lekin sahar ki aarzu mein shab ka daman thamta hun jab ye ladka puchhta hai akhtar-ul-iman tum hi ho ye ladka puchhta hai jab to main jhalla ke kahta hun wo aashufta-mizaj andoh-parwar iztirab-asa jise tum puchhte rahte ho kab ka mar chuka zalim use khud apne hathon se kafan de kar farebon ka isi ki aarzuon ki lahad mein phenk aaya hun main us ladke se kahta hun wo shoala mar chuka jis ne kabhi chaha tha ek khashak-e-alam phunk dalega ye ladka muskuraata hai ye aahista se kahta hai ye kizb-o-iftira hai jhut hai dekho main zinda hun