nuqsan ho raha hai bahut karobar mein

nuqsan ho raha hai bahut karobar mein
abba pade hain jab se padosan ke pyar mein

sau koshishon se aae the chandiya pe chaar baal
do aarzu mein kat gae do intizar mein

na-ahl hi mili mujhe har ek ahliya
main ne kiye nikah sab yaro udhaar mein

banti na surma pasliyan aur phutta na sar
hoti agar zaban mere ikhtiyar mein

angrezi guftugu ka bada faeda hua
chhe sat chand lag gae mere waqar mein

jab se makan badal gain donon padosanen
lagta nahin hai ji mera ujde dayar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close