hujum-e-yas mein jot aas ki teri aawaz hum ahl-e-dard ki hai zindagi teri aawaz labon pe khilte rahen phul sher-o-naghma ke faza mein rang bikhere yunhi teri aawaz dayar-e-dida-o-dil mein hai raushni tujh se hai chehra chand madhur chandni teri aawaz ho naz kyun na muqaddar pe apne 'nur-jahan' tujhe qarib se dekha suni teri aawaz na mit sakega tera nam rahti duniya tak rahegi yunhi sada gunjti teri aawaz