main ne dekhe hain wo marhale ki jahan zindagi maut ka bahami fasla do qadam bhi na tha aise lamhon ki sari aziyyat ko main kis qadar hauslon se sanbhaale raha jab talak mujh mein jine ke aazar se munsalik sans lene ki khwahish rahi meri fikr-o-nazar ki sabhi kawishen tira-o-tar maujon se ladti rahin aur main maut ki sidhiyon pe khada muskuraata raha ab magar sochta hun ki ai jaan-e-jaan jism ki sari aasaishen be-sifat bazm ki sari sar-mastiyan bad-waza zindagi maut ka bahami fasla do qadam hi to tha laut aaya hun kyon