phul the aur qahr khushbu ka khauf ke ghunghru chhan se bajne lage chandni ko farogh tha itna raat bhar is tilism ka fitna sar uthata raha mere andar sehr mein qaid aarzu mein gum sab ke sab hum sab ke sab tum jaan jokhon mein dal kar nikle ek kushada makan ki chhat par nargisi chehre baal khole hue matami sur mein git gate hue apna to dil hi kanp jata hai us gali mein hai bel phulon ki jis ki khushbu pe sanp aata hai