sayyadon ki basti mein ek gahri khamoshi sansanati phirti hai aagahi ka harf-e-gham sar jhukae rahta hai mo'atabar nahin rahta raston mein har jaanib azm aur azmat ki gard udti rahti hai barishen nahin hotin dhup ki tamazat se rah ke shajar sare sukhte hi jate hain sabz-ru nahin rahte aam ke darakhton par baur bhi nahin aata jamunon ke pedon par koyalen nahin aatin sayyadon ki basti mein masjidon ke minare bad-numa shikasta hain gah gah wahshat hai be-nishan galiyon mein khelte hue bachche ab nazar nahin aate maen bhi dua dene dar talak nahin aatin roz aane wala wo ek jo gadagar tha ab kabhi nahin aata pyas jo bujhata tha rah ke musafir ki chah-e-ab tha jo ek khushk ho gaya kab ka ghar ke band darwaze sogwar rahte hain dastaken nahin hotin chaukhaton pe dimak ki surmai lakiren hain zang se bhari kundi makdiyon ke jalon se bhar chuki hai aakhir-kar dukh ke taq par har dam na-tawan charaghon ki zard lau lapakti hai gham-zada darichon se be-hijab tanhai rengti nikalti hai dil-zada makinon ke sath sath rahti hai sayyadon ki basti mein shamiyon ke lashkar ka mustaqil padaw hai