nilgun jhil mein sunahre aks kasni sham ka rasila-pan narm patton ko gudgudi karti sarsaraati hawa ki maddham chap budhe bargad ki ot se uthti ek madhur bansuri ki sargoshi sabz tulsi ke bhigte ras mein ek parchhain sae mein mudgham park ki aakhiri adhuri bench kapkapate hue badan ke sath band mutthi mein kaghazi pudiya jis ke andar pasijte namkin chand kachche pake makai dane jo hatheli ke lams ko pa kar shahd-amez ho chuke the sab waqt ke aabnus chehre par sare manzar badal chuke hain ab malgaji sham ki aziyyat mein bain karti udas khamoshi zard bargad ki khokhli jad mein ek gilahri ki sal-khurda lash khushk tulsi ke bikhre patton par nim-jaan muzmahil nidhaal kali ghar palatte hue parindon ki dard mein dubti hui aawaz park ki aakhiri adhuri bench koi saya na koi parchhain charmaraya hua sa ek kaghaz chand kachche pake makai dane jo bahut talkh ho chuke hain ab