paDosi ki murghiyan

america aisa des hai yaran-e-tez-gam
jazbaat to bahut hain mohabbat bara-e-nam
sar par sunahre baal, badan dudh, hont jam
har lab pe i-lowe hai magar aashiqi haram
allah hi jaane kaun si chakki ka khate hain
sattar baras ke sin mein bhi aankhen ladate hain
barsin badan pe tut ke jab bhuri badliyan
iman safed pad gae jab dekhin goriyan
hain shaikh ko pasand padosi ki murghiyan
sar par kulah naf talak lambi dadhiyan
chehre to jhurriyon se bhare dil jawan hain
din mein hain shaikh raat mein salman-khan hain
qudrat ke dast-e-naz ka 'saghar' kamal hain
jo khwab mein na aae wo aisa khayal hain
niche se le ke top talak mala-mal hain
chandi ke panw dosto sone ke baal hain
jo rang-rup un mein hai wo desi mein nahin
jo pepsi mein lutf hai wo lassi mein nahin
makhmal pe jis ke panw chilen wo chale kahan
surkhi-e-pan dikhai de aise gale kahan
baadal zamin pe jhuk gae gesu dhale kahan
ghairon mein husn-o-ishq ke ye silsile kahan
sauda mohabbaton ka bhara sar-phiron mein hai
us ishq ko salam jo kachche ghadon mein hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close