wo lamha aainon ka dariya jis mein tum ne apna aap pahchana jis mein tum ne jaana ki apne wajud mein qaid tum mahz sarab ho ki sheron mein mahfuz ho to tum aawaz nahin bazgasht nahin mahfil aawazon iradon ka khwab ho is danish-gah ke baadalon mein kaunde bhare hain mere hathon mein hath do mere hathon mein hath do siyah shoale tum se kahte hain chalo hum nae bazu nai buland aawazon ke sath chalen wapas us watan ko jis ka farsh har roz nae lahu se dhoya gaya hai shishon ki zabanen tum se kahti hain ab tum ek nai aag ke aansu ki tarah zartar ho