laut bhi aaen agar ab wo shanasa lamhe aur main tujh se milun bhi to dabe lafzon mein puchhenge sabhi kin sitaron ki guzargah pe tum pahle-pahal nikle the kaun si jhil thi wo jis mein tum pahle-pahal dube the kaun se ped the wo jin ke sayon mein mohabbat ke shagufe phute itne badle hue haalat ke dorahe par in sawalon ke jawabaat mein kaise dunga ajnabi ban ke milunga to koi puchh na le ye jo aankhon mein mohabbat ka rawan hai dariya us ki kis mauj se rishta hai shanasai ka us ko dar kaisa hai ruswai ka aur agar tujh se na milne ki qasam khaun to phir dil ki har rag se lahu tapkega tanhai ka main sahe jaunga ye zakhm shanasai ka