halka-phulka sa badan buta sa qad us pe gharare ka bojh nak ki laung chamakti hui hire ki kani aur kanon mein mahakti hui taza champa aankh par mote se shishe ki purani ainak gal mein pan daba ek aanchal mein bandhe thode se tute paise nefe mein adse hue note karare do-chaar aur qamar-band mein chabi ka wo bhaari guchcha raat din ek hi kaam ghar-girhasti mein maze se masruf tum kahin pichhle janam shahd ki makkhi to na thin