suno tum ne mujhe takmil ka ehsas bakhsha hai ki tum is jism mein pahli tamanna ka shagufa ho magar yun hai ki meri kokh mein kilkariyon ki karwaton se qabl andeshe ki konpal phut nikli hai main aksar sochti thi ye akela ghar kabhi aabaad bhi hoga main us an-dekhe mehman ki pazirai mein kya kya khwab bhejungi main taq-e-jaan mein kaise kaise gul-bute sajaungi main us ki ek ek jumbish pe izhaar-o-bayan ke sab dariche khol kar sawan ke baadal ki tarah har rang mein pagal hawa ke sath har su phail jaungi main ye bhi bhul jaungi ki us ek bund bhar rishte ke pichhe umr bhar ki sangsari hi muqaddar hai main ye bhi bhul jaungi ki is hone ki lazzat aur zillat ne mujhe kya kya rulaya hai main ye bhi bhul jaana chahti thi ki main kis jabr ke sae mein pal kar kaise andeshon ki chadar odh kar dahliz utri thi ki main ne khud ko bachpan aur jawani ke gunahon ki hazaron lazzaton se kis tarah mahrum rakkha hai meri jaan main ye sab kuchh bhul jaana chahti thi main teri nannhi nannhi ungliyon ki konpalon ka lams pa kar raqs kar uthti teri kilkariyon ko soch kar tanhai mein haule se muskati magar yun hai ki mere chaar su jo hashr barpa hai bas ek khamosh matam ek be-awaz nala hai main aankhen mundna chahun to ye kilkariyan bhuke bilakte dard se behaal bachche ki karahon mein badal jati hain pal bhar mein meri muskan dhal jati hai tanha dard ki mari thaki haari hui aurat ki aahon mein thaki haari hui aurat ki jis ki sard banhon mein apahij din sisakta hai musalsal khana-jangi qahat-sali bhuk ghurbat aur wabaen jis ke darwaze pe dastak de rahi hain jihaalat aur nafrat sarhadon ki pasbani kar rahi hai jahan kheton mein bas barud ugta hai saron par tab-kari dhup ki chadar tani hai thaki haari hui aurat jo malbe par khadi fariyaad karte ye kin aabaadiyon ko yaad karti hai main aankhen mundna chahun to ye manzar rulata hai meri jaan us ghadi tu jis bhi pahlu kasmasata hai mera dil haul khata hai mere chaaron taraf ek khud-faramoshi ka jangal hai ghanim aankhen jamae aur hawa-e-shauq pagal hai