ba-sad ghurur ba-sad fakhr-o-naz-e-azadi machal ke khul gai zulf-e-daraaz-e-azadi mah-o-nujum hain naghma-taraaz-e-azadi watan ne chheda hai is tarah saz-e-azadi zamana raqs mein hai zindagi ghazal-khwan hai zamana raqs mein hai zindagi ghazal-khwan hai har ek jabin pe hai ek mauj-e-nur-e-azadi har ek aankh mein kaif-o-surur-e-azadi ghulami khak-basar hai huzur-e-azadi har ek qasr hai ek baam-e-tur-e-azadi har ek baam pe ek parcham-e-zar-afshan hai har ek samt nigaran-e-yasmin-paikar nikal pade hain dar-o-baam se mah-o-akhtar wo sail-e-nur hai khira hai aadmi ki nazar ba-sad ghurur-o-ada khanda-zan hai gardun par zamin-e-hind ki jola-nigah ghazalan hai sada do anjum-e-aflak raqs farmaen butan-e-kafir-o-saffak raqs farmaen sharik halqa-e-idrak raqs farmaen tarab ka waqt hai bebak raqs farmaen ki ye bahaar-e-payami-e-sad-bahaaran hai ye inqalab ka muzhda hai inqalab nahin ye aaftab ka partaw hai aaftab nahin wo jis ki tab-o-tawanai ka jawab nahin abhi wo sai-e-junun-khez kaamyab nahin ye intiha nahin aaghaz-e-kar-e-mardan hai