so ab ye shart-e-hayat thahri ki shahar ke sab najib afrad apne apne lahu ki hurmat se munharif ho ke jina sikhen wo sab aqide ki in gharanon mein un ki aankhon ke rangton ki tarah tasalsul se chal rahe the suna hai baatil qarar pae wo sab wafadariyan ki jin par lahu ke wade halaf hue the wo aaj se maslahat ki ghadiyan shumar hongi badan ki wabastagi ka kya zikr ruh ke ahd-name tak faskh mane jaen khamoshi-o-maslahat-pasandi mein khairiyat hai magar mere shahr-e-munharif mein abhi kuchh aise ghayyur-o-sadiq ba-qaid-e-jaan hain ki harf-e-inkar jin ki qismat nahin bana hai so hakim-e-shahr jab bhi apne ghulam-zade unhen giraftar karne bheje to sath mein ek ek ka shajra-e-nasb bhi rawana karna aur un ke hamrah sard patthar mein chunne dena ki aaj se jab hazar-ha sal baad hum bhi kisi zamane ke tekslaya hadappa ban kar talashe jaen to us zamane ke log hum ko kahin bahut kam-nasab na jaanen