ai hind ke bashindo aao ujda gulzar saja dalen ab daur-e-ghulami khatm hua ek taza jahan ki bina dalen ab hind ki asli id hui jo aazadi ki did hui padh padh ke namaz-e-azadi ab ruthe huon ko mana dalen kashti bhi nai dariya bhi naya sahil bhi naya mallah bhi nae ab kar ke bharosa himmat par tufan mein rah bana dalen hain ranj-o-khusumat ek roda rah-e-azadi mein ab bhi hum ranj purane dur karen bichhdon ko gale se laga dalen jo mulk tha sone ki chidiya bandhan ne use pamal kiya ghurbat ko yahan se dur karen phir dudh ki nahren bana dalen phir bos se yodhdha paida hon jo hind ki qismat jag uthe ek bar zamane par sikka phir madar-e-hind bitha dalen is budhe himala parbat se phir nur ka chashma-e-ahl uthe is mel-o-mohabbat ke jal se har bashi ko nahla dalen ye hind ki aazadi goya kul mashriq ki aazadi hai phir mashriq mashriq ban jae jo zulm ke daur mita dalen 'anwar' ki dua hai ai maula phir hind ki qismat jag uthe bichhde aapas mein mil jaen hum ruthe hue ko mana dalen