phir ek jamm-e-ghafir ek maidan mein aasman ki taraf der se tak raha hai! imra-ul-qais ki betiyan shairi ki zaban phir samajhne lagin laplapati zabanen khitabat ka jadu jagane lagin wo khuda-zadiyan muskurane lagin aur melon mein phir bhid badhne lagi koi mimbar se bola ki ai mere pyaro! tumhein apne aglon ki umren lagen baz aao safar se kuchh aaram lo qafilon ki madhur ghantiyan ret ke silsile us ki denge gawahi tumhein hum ne pahle kaha tha gharon mein raho tum na mane to us ki saza pa chuke baz aao abhi waqt hai be-karan nili nili khala phir na mashur kar de tumhein