raat bhar narm hawaon ke jhonke waqt ki mauj rawan par bahte teri yaadon ke safine lae ki jaziron se nikal kar aae guzra waqt ka daman thame teri yaaden tere gham ke sae ek ek harf-e-wafa ki khushbu mauja-e-gul mein simat kar aae ek ek ahd-e-wafa ka manzar khwab ki tarah guzarte baadal teri qurbat ke mahakte hue pal mere daman se lipatne aae nind ke bar se bojhal aankhen gard-e-ayyam se dhundlae hue ek ek naqsh ko hairat se taken lekin ab un se mujhe kya lena mere kis kaam ke ye nazrane ek chhodi hui duniya ke safir mere gham-khane mein phir kyun aae dard ka rishta rifaqat ki lagan ruh ki pyas mohabbat ke chalan main ne munh mod liya hai sab se main ne duniya ke taqaze samjhe ab mere pas koi kyun aae raat bhar nauha-kunan yaad ki biphri maujen mere khamosh dar o baam se takraati hain mere sine ke har ek zakhm ko sahlati hai mujhe ehsas ki us maut par sah de kar subh ke sath nigun sar palat jati hai