naqsh yan jis ke miyan hath laga paise ka us ne tayyar har ek thath kiya paise ka ghar bhi pakiza imarat se bana paise ka khana aaram se khane ko mila paise ka kapda tan ka bhi mila zeb-faza paise ka jab hua paise ka ai dosto aa kar sanjog ishraten pas huin dur hue man ke rog khae jab mal-pue dudh dahi mohan-bhog dil ko aanand hue bhag gae rog aur dhog aisi khubi hai jahan aana hua paise ka sath ek dost ke ek din jo main gulshan mein gaya wan ke sarw-o-suman-o-lala-o-gul ko dekha puchha us se ki ye hai bagh batao kis ka us ne tab gul ki tarah hans diya aur mujh se kaha mehrban mujh se ye tum puchha ho kya paise ka ye to kya aur jo hain is se bade bagh-o-chaman hain khile kiyariyon mein nargis-o-nasrin-o-suman hauz fawware hain banglon mein bhi parde chalwan ja-ba-ja qumri-o-bulbul ki sada shor-afgan wan bhi dekha to faqat gul hai khila paise ka wan koi aaya liye ek murassa pinjda lal dastar-o-dupatta bhi hara jun-tota is mein ek baithi wo maina ki ho bulbul bhi fida main ne puchha ye tumhaara hai raha wo chupka nikli minqar se maina ke sada paise ka wan se nikla to makan ek nazar aaya aisa dar-o-diwar se chamke tha pada aab-e-tala sim chune ki jagah us ki tha inton mein laga wah-wa kar ke kaha main ne ye hoga kis ka aql ne jab mujhe chupke se kaha paise ka rutha aashiq se jo mashuq koi hat ka bhara aur wo minnat se kisi taur nahin hai manta khubiyan paise ki ai yaro kahun main kya kya dil agar sang se bhi us ka ziyaada tha kada mom-sa ho gaya jab nam suna paise ka jis ghadi hoti hai ai dosto paise ki numud har tarah hoti hai khush-waqti-o-khubi bahbud khush-dili tazgi aur khurmi karti hai durud jo khushi chahiye hoti hai wahin aa maujud dekha yaro to ye hai aish-o-maza paise ka paise wale ne agar baith ke logon mein kaha jaisa chahun to makan waisa hi dalun banwa harf-e-takrar kisi ki jo zaban par aaya us ne banwa ke diya jaldi se waisa hi dikha us ka ye kaam hai ai dosto ya paise ka nach aur rag ki bhi khub-si tayyari hai husn hai naz hai khubi hai tarah-dari hai rabt hai pyar hai aur dosti hai yari hai ghaur se dekha to sab aish ki bisyari hai rup jis waqt hua jalwa-numa paise ka dam mein dam ke yaro jo mera dil hai asir is liye hoti hai ye meri zaban se taqrir ji mein khush rahta hai aur dil bhi bahut aish-pazir jis qadar ho saka main ne kiya tahrir 'nazir' wasf aage main likhun ta-ba-kuja paise ka
This is a great dahi handi special shayari. True lovers of tota ki shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore mohan bhatnagar shayari. Please share if you liked this!!!