bas pal-do-pal ki baat hai be-sabab pareshan hote ho tumhein kis baat ka gham hai kyun udas rahte ho dekho in nazaron ko mast aabshaaron ko nadiyon aur pahadon ko suraj chand sitaron ko galiyon ko bazaron ko shayad tum bahal jao socho jab tum aae the is tarah ro rahe the jaise bachche ke hath se khilauna chhin gaya ho phir tum ne jo kuchh liya yahin se liya jo kuchh bhi diya yahin pe diya phir kyun udas rahte ho bas pal-do-pal ki baat hai tum be-sabab pareshan hote ho